We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Taraqiati Kaam

by Tarbooze

/
  • Streaming + Download

    Includes high-quality download in MP3, FLAC and more. Paying supporters also get unlimited streaming via the free Bandcamp app.
    Purchasable with gift card

      name your price

     

1.
Surkh 04:12
Mein ne dil ko ghar banaya tha Phir wo aaya tha Na raha Khud se bhi meine chhupaya tha Wo jo saaya tha Mein na tha Kaise samjhen iss khala ko Kia jawaab den khuda ko Roshni ne kal dikhaya tha Par wo maaya tha Na raha Apna geet mein ne sunaya tha Phoolon se rang churaya tha Surkh sa Kaise badal aasman mein Ayena ban ke dikhay hain
2.
Kamiyab 02:49
Bana ke humko mitti se Khud rehtay ho asmaan pe Kis kaabil hai insaan Tumharay iss jahaan meh Mujhko dedo ek jawab Ye gunah hai ya sawab Kia hum pakray jaenge? Leke aaye kuch khuwab Ho na paaye kamiyab Apna dard hum gaayenge Detay ho humko dilasay Bachna chahtay ho agar tum aag se Dohrana hai ek jumla Phir kar le jo tu chahay Dekh ke duniya ka haal Tujhse puchun sawaal Kia kuch badal payenge? Leke aaye kuch khuwab Ho na paaye kamiyab Apna dard hum gaayenge Yun tou teri qudrat ke dukhon se hum bezaar Phir bhi jeetay hain umeed pe Shayar hain aakhir kaar
3.
Aatish 04:02
Aatish ke zarray aasman tak jaatay nahi Aansu ke qatray dariya meh samatay nahi Gaa lun jitnay bhi naghmay Hon aas paas kitnay bhi apnay Kunwan hai jahaan pehle dil tha Gehri khaayi meh hai jaa milta Samjha jisko sahil tha Wo saraab sa kyun nikla Goonjti awaazon ko koi sunta nahi Toot jaaye agar sur tou jurrta nahi Kaalay baadal jab bhi barsein Chhup jaatay hain hum dar se Kunwan hai jahaan pehle dil tha Gehri khaayi meh hai jaa milta Samjha jisko manzil tha Wo saraab sa kyun nikla Samjha jisko manzil tha Wo saraab sa kyun nikla
4.
Toofan 03:03
Raat ki chadar Shaam ke badal Subah ke andheron mein Dilon pe hain taalay Aey nazmein likhnay waalay Kia dhoondtay ho lafzon mein Chai ki piyali mein hai toofan Girnay hi waalay hai aasman Tou jaago Jaago Aansu girtay girtay Daryaon se miltay Kab rona chorro gay? Jugnu aur taaray Lagtay hain humaray Aur chahiye kia duniya se Chai ki piyali mein hai toofan Girnay hi waalay hai aasman Tou jaago Jaago Chai ki piyali mein hai toofan Girnay hi waalay hai aasman

about

Tarbooze's second EP, Taraqiati Kaam is a travelling of emotion from hollowness to sarcastic cynicism- and then an acknowledgement of the deep sorrow behind its mask. The final song, Toofan, introduces a relief and a call to belong to the universe at large when feeling alienated from our dysfunctional culture. This EP is designed to be listened to in solitude or in times of crisis. Avoid playing at raves.

credits

released February 10, 2023

Written by Wishaal Khalid & Danial Shahid
Produced by Wishaal Khalid & Danial Shahid
Mixed by Danial Shahid
Mastered by Daniel Arthur Panjwaneey
Album Art by Wishaal Khalid
Photography by Manaal Khalid

license

all rights reserved

tags

about

Cape Monze Records Karachi, Pakistan

Karachi based indie & electronic label

contact / help

Contact Cape Monze Records

Streaming and
Download help

Redeem code

Report this album or account

If you like Taraqiati Kaam, you may also like: